The love for mountains

KuldipMochi
1 min readSep 19, 2023

I am trying to convey my words into this poem that how much I love to mountain and now days I am missing mountain too much.

Har ek kadam pe naye naye najaro ko mahsoos karna,

Jungle ki goonj me apne aap ki dhadkan sunna,

Thoda aur, thoda aur, bolke ghanto tak chalna,

Waha ki vadiyon me sahar ka har shor bhul jana,

Pahadi bacho k sath khelna aur hasna,

Me tumhe bahut yaad kar raha hu,

Raste me sabko chocolate and paani dena,

Waha ki saaf hawaayein, aur white chadar se dhake hue pahad,

Taaro ke sath raat bhar gaane. gungunana,

Pure din ki thakan k baad khule aasman k niche tent me sona,

Me tumhe bahut yaad kar raha hu,

Har subah ek naye josh ke sath uthna,

Waha ki thandi thandi hawaayein me garma garm chai pina and Maggie khana,

Nadiyo ki baate sunna,

Kabhi baris, to kabhi dhoop me chalna,

Waha ke daal chawal me sahar k har ek mistan ko bhul jana,

Waha summit par pahuch kar aaram se bethna,

Sunrise and sunset ke photos khichna,

Har ek saam ko bahut sari yaade leke sona,

Me tumhe bahut yaad kar raha hu,

Pahad me jana bahut kathin he wo jankar b, baar baar waha jane ki hath karna,

Muje pata he me kaafi time se nahi aaya tumhe milne,

Par me puri kosish karuga jald hi aane ki,

Me tumhe bahut yaad kar raha hu.

--

--